Just a drop of ocean…
Posted by julievora on December 23, 2006
gar ho mumkin to pattharon mein aina rakhna
apne ghar main bhee tum kahin khuda rakhna….
kho na jana tum kahin zamane kee bheed mein
yun milna sabse ki khud ko khud se juda rakhna…..
kahkahon ka shor kahin kar na de gafil tujhko
rahna ujaalon me magar andheron se wasta rakhna…..
phoolon se laakh sahi yarana tumhara magar yaaro
kaanto se bhee zakham khaane ka tum hosla rakhna…..
saath chalna husn waalon ke is qadar tum ‘Ajnabi’
dariyaa ke kinaaron sa magar unse fasla rakhna……
hiren4u said
Hello wecome to your blog dear friend